🎵
Barbaad Reprise - Female by Shilpa Rao album cover

Barbaad Reprise - Female

by Shilpa Rao

Lyrics
Haan Haan Haan
Teri In Baarishon Mein
Behti Hi Jaun Main
Jab Tu Hai Paas Mere
Khud Ko Rok Na Paaun Main
Tu Jo Ye Kar Raha Hai
Sehna Dushwaar Hai
Dil Ne To Haan Kiya Hai
Honthon Pe Inkaar Hai
Ye Jo Mushkil Se Dil Ko, Salaamat Rakha
Isme Aane Du Kya Tujhko
Toot Jaayega Dil
Phir Na Jud Paayega
Issi Baat Ka Dar Hai Mujhko
Ke Ho Na Jaaye Pyaar Tumse Mujhe
Kar Dega Barbaad Ishq Mujhe
Ho Na Jaaye Pyaar Tumse Mujhe
Behad-Beshumaar Tumse
Haari Main, Haari Main Tere Saamne
Haari Main, Haari Main Mere Yaar Ve
Main To Jal Jaani Ve Teri Aag Mein
Kar Lu Barbaadi Main
Tere Pyaar Mein