🎵
Papa Meri Jaan by Sonu Nigam album cover

Papa Meri Jaan

by Sonu Nigam

Lyrics
Ambar Pe Mere
Ek Hi Taara
Woh Ek Taara Ho Tum
Na Koyi Khuda
Mera Tere Siva
Mera Jag Saara Ho Tum
Maine Tumhein
Jahan Rakha
Koyi Nahi Hai Wahan
Papa Meri Jaan
Hardum Rakhna
Ab Haath Yeh Sar Par Tum
Papa Meri Jaan
Mere Sang Chalna
Har Meel Ka Patthar Tum
Tumhin Pe Toh
Theharte Hain
Yeh Raastein Mere Liye
···Music···
Dhadkan Dhadkan
Tum Seene Mein
Har Waqt Dhadakte Ho
Jaaun Kahin Bhi Main
Tum Ho Ya Na Ho
Par Saath Hi Rehte Ho
Tum Hote Ho
Inn Aankhon Mein
Inn Aankhon Mein Har Jagah
Papa Meri Jaan
Hardum Rakhna
Ab Haath Yeh Sar Par Tum
Papa Meri Jaan
Mere Sang Chalna
Har Meel Ka Patthar Tum
Tumhin Pe Toh
Theharte Hain
Yeh Raastein Mere Liye
···Music···
Na Is’se Badi
Meri Koyi Khushi
Mujhe Dekho Jo Hans Kar Tum
Tumko Kuchh Bhi
Hone Na Doonga
Yeh Likh Lo Dil Par Tum
Hatheli Ki
Lakeeron Ko
Main Mod Doon Tere Liye
Papa Meri Jaan
Hardum Rakhna
Ab Haath Yeh Sar Par Tum
Papa Meri Jaan
Mere Sang Chalna
Har Meel Ka Patthar Tum
Tumhin Pe Toh
Theharte Hain
Yeh Raastein Mere Liye
···Music···
Dariya Dariya
Sehra Sehra
Sooraj Sa Bhatakte Ho
Dil Hi Dil Mein
Ek Aag Liye
Kyun Aise Dehakte Ho
Ruko Zara
Thamo Zara
Main Bhi Jalun Tere Liye